jab sara manzar dekh chuke to khwabon mein kho jaana kya mere man ka panchhi pagal hai jo ab bhi rasta dekhta hai mere dil ka bachcha ziddi bachcha aas lagae jita hai is man ko main samjhaun kya jo rasta tera rasta nahin ab is raste par jaana kya jo manzil, manzil teri nahin ab us ka khoj lagana kya lekin mere dil ka bachcha ziddi bachcha jab surat-e-haal samajhta nahin use rah rah kar samjhana kya