main ne socha tha ki ek roz bhula dunga tujhe apne ehsas se dhadkan se mita dunga tujhe ek bhula hua afsana bana kar tujh ko qabr mein apne khayalon ki daba dunga tujhe par ye mera hi ahd mujh se mukammal na hua aur koshish meri koshish ke siwa kuchh na rahi dil ki khwahish ki ye mazi ko mita dalega ek nakaam si kawish ke siwa kuchh na rahi meri mahfil mein bhi tu hai meri khalwat mein bhi tu meri sanson mein bhi tu hai meri hasrat mein bhi tu meri bechaini mein tu hai meri rahat mein bhi tu mere andaz-e-junun mein meri wahshat mein bhi tu aaj bhi tu meri rag rag mein basa rahta hai tu hi shamil hai masarrat mein tabassum mein mere meri har rah kahin tujh se hi mil jati hai teri baaton ke siwa kya hai takallum mein mere main ne ab chhod diya tujh ko bhulane ka junun aisi koshish nahin karni jo mukammal hi na ho zindagi jini hai ab is ke sahaare hi na ho chahe wo tujh se mila pyar ka ek pal hi na ho