us ne dekha wo akela apni aankhon ki adalat mein khada tha be-kashish auqat mein banti hui sadiyan kisi jallad ke qadmon ki aawazen musalsal sun rahi thin aane wale mausamon ke nauhagar muddat se apni bebasi ka zahr pi kar mar chuke the us ne chaha band kamre ki salakhen tod kar bahar nikal jae magar shakhon se murjhae hue patton ki surat hath us ke bazuon se gir chuke the