mere giton mein mohabbat ne jalae hain charagh aur yahan zulmat-e-zardar ke ghere hain tamam sab ke honton pe hawasnak umidon ki baraat koi leta nahin ulfat bhare giton ka salam ai mere git! kahin aur hi chalna hoga tujh ko malum nahin aadam o hawwa ki zamin apne nasur ko parde mein chhupane ke liye gul kiye deti hai afkar ke masum charagh har nafas apne gareban pe rakhti hai nazar jis mein ek tar bhi baqi nahin parde ke liye ai mere git! kahin aur hi chalna hoga aa kahin aur kisi desh ko dhunden chal kar ho jahan bhuk na afkar ke pardon pe muhit waqt dale na jahan qaid mein fikron ka jamal pyar ke bol ko apnae jahan sari zamin aa usi desh mein phailaun tere pyar ka nur ai mere git! kahin aur hi chalna hoga ye bhi mumkin hai ki jholi mein amal ki ek roz yas ki khak ho aur dur ho apni manzil aarzuon ka koi desh na mil pae agar mere sine mein utar ja ki yahan koi nahin jo tere nur ko paigham ko samjhe aa kar ai mere git kahin aur hi chalna hoga