keyboard actiwist

jangon khun-ashamiyon ki gard
chehron par odhe

hairan lab basta bachcho
sahil par sip ki manind

aundhe munh bikhre moti jaise bachcho
be-libas sadkon par bhagte

dahshat-zada sukhe bachcho
khuda ko is duniya ki shikayat lagane wale

rote bilakte jaan se guzarte bachcho
tar-tar pairahan jism darida ruh rakh badan

azim insani tahzib ke
malbe tale dabe mazlum bachcho

tayyaron ki ghan-garaj sun kar sahamte
gola-bari se pet bharte bachcho

kachre se chun kar khate be-khanuman sayyaro
pet ka dozakh bharne ko

ghas ubaalte bachcho
hum ne tumhaare liye

kitni hi udas nazmen likhin
nauhe gae

marsiye padhe
aur tum phir bhi sakit baithe ho

duniya ko shaki nazar se takte ho
batao bhala

keyboard actiwist
aur kya kar sakta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close