agar samundar mujhe rasta deta to safar karti us qindil ke sath jo sham ka malgaja phailte hi sahil par raushan ho jati hai udti qaqnus ke ham-rikab ufuq ki masafaton mein tairti machhliyon ke sang khojti reg-zaron mein nilgun paniyon ko surmai pahadon mein jadui surangon ko lekin mere sirhane aadhe paune khwab pade hain aur meri shelf par dhare hain kanch ke nazuk bartan sabzi ke chhilke ghar ki diwaron par mere bete ki khinchi lakiron mein an-suni kahaniyan hain jo muskuraati khilkhilati hain aur baaten karti hain aankhon hi aankhon mein wo kahaniyan sunti main dafatan chaunk jati hun adhure khwab bhi mere kitne sharminda-e-tabir hue magar phir bhi darti hun ki meri beti aadhe khwab dekh kar unhen adhura chhod na de bund bund dua utarti hai dil ki zamin pe pahli barish ki manind aur sili mitti se shakh-dar-shakh tamannaen phut padti hain