khali aaankhon ka makan mahnga hai mujhe mitti ki lakir ban jaane do khuda bahut se insan banana bhul gaya hai meri sunsan aaankhon mein aahat rahne do aag ka zaiqa charagh hai aur nind ka zaiqa insan mujhe pattharon jitna kas do ki meri be-zabani mashhur na ho main khuda ki zaban munh mein rakhe kabhi phul ban jati hun aur kabhi kanta zanjiron ki rihai do ki insan in se zyaada qaid hai mujhe tanha marna hai so ye aankhen ye dil kisi khali insan ko de dena