hum apne manzar se bichhde aaankhon mein us ka aks liye bhatak rahe hain koi nai rut hamein panah dene lagti hai to achanak be-dua lamhon ko kuchh naya sujhta hai aur sara manzar badal jata hai jahan pur-asrar aahaten hamein khauf ke jangal mein chhod aati hain be-manzari roz hum se shikwa karti hai subh jagte hain to hamare chehron par sham hone lagti hai ajnabiyyat ki dhund hamara saya chhin chuki hai hamari apni zat mein fasle itne gahre ho gae ki hum khud apni hi dastaras se bahar ho chuke hum is manzar mein nahin dafnae ja sakte jis mein hum ne janam liya tha hum ek muddat se aaankhon ki gathdi mein apne khwab bandhe waqt ki dahliz par khade chikh rahe hain lekin hamari aawaz kisi aur manzar mein rah gai hai be-saut pukar par aasman ashk-bar hota hai to hamari faslon mein bhuk chupke se ghus jati hai dasht ne hamare shadab jismon se pani nichod kar un mein pyas bhar di hai idrak ki sarhadon ke us par apne gum-shuda manzar ko hum ne kabhi nahin khoja hamein khabar hai hum sab ne mil kar apna manzar khud ganwaya hai aur ab hum apne qaht-zada badan mein chhup kar baith gae hain