aao izza suno kahani jab bachchi thin tumhaari nani un ki hatheli par chhota sa chamakta sikka rakhte the inam mein abba jhat se aa kar mutthi band kiya karti thin ammi mitti ki gullak bhayya le kar aate the chhan-chhan karte bahut se sikke gullak mein bharte jate the baji utha kar wazn bata tin dil khushiyon se pagal hota kya karna hai in paison se samajh na aata phir ammi ne ye sikhlaya sab se achchhi dost tumhaari ban ke rahengi kitaben sari in paison se wahi kharido ammi bhayya baji abba jab na honge pas tumhaare kabhi udas aur tanha jab ho inhin kitabon mein phir tum ko sare rishte mil jaenge hath pakad kar un ka chalna gum kabhi tum ko na hone dengi in se dukh-sukh kahna sunna rasta tum ko batlaengi jab ho chaaron taraf andhera raushni tum ko dikhlaengi pyar se in ko saint ke rakhna ye hi hongi sachchi sathi harf harf se lafz banati tumhaari fikr ki khali gullak khan-khan kar ke bharti rahegi aisa khazana ata karegi kabhi kisi ki thokar se tum bikhar sako na tut sakogi balki aisi gullak ban jaogi jitna banto utna bharogi