magar ai raushni ai kaenati raushni in surajon taron zaminon kahkashaon ke liye dil mein tera nur-e-mohabbat ek jaisa hai mujhe patal se khincha mera maila badan dhoya uluhi gher mein le kar meri in khushk jhilon ko muqaddas aansuon se phir shanasa kar diya ai raushni in khushk jhilon ke kinaron par teri halki si shabnam se tere shital jhapake mein chhupi mithi hararat se main sarma ke gulabon ki koi be-ant kheti khud uga lungi ki mujh mein surajon ke zulm sahne ki sakat baqi nahin