khabar wahshat-asar thi use aise laga jaise zamin panw ke niche se sarakti ja rahi hai tabaq saton ke saton aasman ke is ke sar par aa gire hain ek dhamake se nazar ke samne hadd-e-nazar tak ek kali dhund ke manzar shikan parde zamin se aasman tak tan gae hain hawa ke panw mein man man ki zanjiren padi hain udhar dil ko tatola to laga use ki jaise aasman ki wusaton mein koi tayyara ghira hua aandhiyon mein aur girdab hawai mein musalsal pai-ba-pai khata ho hachkole udhar chehre ko dekha to laga aise ki jaise us kitab-e-zindagi se sare harfon ki chamakti raushnai ud chuki ho khalish aise thi sine mein ki jaise koi kante-dar jhadi par mahin malmal ko bedardi se khinche aur tar-o-tar kar dale lahu sare badan ka khinch ke aankhon ke shikasta jam-o-mina se tapakna chahta tha use is haal mein dekha to aaine chatakh kar reza reza ho gae aur aarzu ke us bahisht-abaad ki sab chizen apne apne markaz se lagin hatne falak ko chumne wale kalas aur kangare pal-pal bhar mein mitti chatte the aur dharti ki shikasta ja-ba-ja kat jaane wali sard rekhaon mein apne thokaren khate muqaddar dhundte the darakht apni jagah se hil gae aur un ki shakhon par lada sab baur phal banne se pahle jhad gaya gharaz har shai pe wahshat thi khabar hi is qadar wahshat-asar thi suna hai jab dilon ki lahlahati khetiyan barbaad hoti hain to aise zalzale aaya hi karte hain