1 meri khalwat ke haale mein tumhaara ye tilsmati badan ek nur mein duba hua bahta hua dhaara ye madh-mata ye khud ko sar-ba-sar bhula hua behad nirala an-chhua saya hawa ke narm soe soe lahje ki tarah mas ho ke meri ruh mein aatish ka bhadkata hua saya ye saya raushni hi raushni hai sar se panw tak ye saya zindagi hi zindagi hai sar se panw tak ye wasl-e-tam ka lamha wo lamha hai ki jab khud waqt ruk jata hai jaise sham ko dariya bhi ruk kar khud faramoshi ke gahre sans lete hain 2 udhar jab waqt ka sayyal dhaara ek do lamhon ko rukta hai na jaane kyun mere andar lahu ka tez-tar ho kar harim-e-dil ki diwaron se apna sar patakta hai ye pir-e-rome ke marqad pe raqsan un khuda-agah durweshon ki surat raqs karta hai jinhen khud apne tan-man ki koi sudh-budh nahin rahti wo sar-ta-pa faqat ruh-e-tam ki tamsil lagte hain kisi aise abad lamhe mein jism-o-jaan ki is wahdat ka koi nam to hoga sarapa raqs ki us haalat-e-be-nam ka anjam to hoga tumhi bolo ki us ka nam kya anjam kya hai han tumhi bolo girah kholo