bail ne gae ka munh chuma khabar ban na saki dekhne walon ko irfan-e-nazar ho na saka ghode ne ghodi ka munh chuma khabar ban na saki hinhinaya pe koi ahl-e-khabar ho na saka ye khabar hai ki sar-e-rah kisi ladki ko chumta pakda gaya ek sharabi ladka wahin qanun ki zanjir-e-giran tauq bani wahin akhbar ki surkhi ne unhen ja pakda main yahi soch raha tha ki sar-e-sham mujhe jate suraj ke bhi atwar kuchh aise hi mile us ka munh zard tha ehsas-e-judai hoga us ne ek badli ka munh chum liya chupke se dafatan badli ka munh surkh hua aur haya daudi khun ban ke rag-o-pai mein ki gulnar hui us ke daman pe chhalak utthe sitare aansu aur suraj ki tarah khud bhi wahin dub gai wahi tare the magar raat ke akhbar-farosh ye khabar sham se hi sare falak par pahunchi pahle to lakhon darichon se nigahban jhanke chandni chhitki to phir chand ne ki rakhwali subh-dam nind ke mate the sabhi ahl-e-falak suraj aaya to kisi ko na raha is ka khayal wahi badli thi ufuq par wahi unwan-e-haya donon takte rahe mabhut nigahon se jamal phir mohabbat ne kiya sabt salam-e-rangin surkh badli ka lahu daud gaya chaar taraf donon khush the unhen malum tha aazad hain wo un ka milna nahin insan ki nigahon ka hadaf main ne dekhi hai magar donon ki ye gustakhi main khabar deta hun akhbar ko dekho to sahi
This is a great sharabi shayari video. True lovers of pagal ladka shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this bail pola shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!