khabar shaki hai tum mujh ko faqat qissa samajh kar hi nazar-andaz karte ho kabhi socha hai tum ne ye ki ek chhote se qisse ne khabar banne ke pahle kya jatan jhele sitam kate kisi be-nam kuche se nikal kar samne aaya sisakte unghte logon ko chaunkaya bahut kuchh aur bhi karta hua qissa khabar ka rup leta hai magar tum to faqat qissa samajh kar chhod dete ho sabab us ka ye hai shayad yahan hai maut bhi mamul mein shamil kunware be-zaban jismon pe hamle roz hote hain dakaiti qatl ighwa lut aur aatish-zani bahut kuchh hota hi rahta hai naya jaise kahin kuchh bhi nahin lekin kabhi tum par aur un par bhi ki jin par sab guzarta hai sabhi kuchh khas tab hoga kabhi tum par bhi kuchh guzre khabar shaki hai tum mujh ko faqat qissa samajh kar chhod dete ho