khak-e-gulshan ko gul-fishan kar lo zarra-zarra ko kahkashan kar lo waqt hai ab bhi ai chaman walo apna mahfuz aashiyan kar lo khak-e-gulshan ki azmaton ki qasam ab bhi tamir gulsitan kar lo rukh hawadis ka jab ho su-e-chaman zad mein tufan ke aashiyan kar lo hai zarurat qadam mila ke chalo azm-e-manzil ko kaamran kar lo muntashir ho ke ji nahin sakte ham-nashinon ko ham-zaban kar lo yahi paigham hai 'hilal' apna daur-e-jamhur jawedan kar lo