main musawwir hun par tujh se nadim hun main ki tere tujh se khake banane ki main ab talak ye ikkawanwin koshish bhi puri nahin kar saka hun ye meri mohabbat ka gahra tassub bhi ho sakta hai par ye aafaqiyat kaenati mohabbat ka radd-e-amal hai ki khakon mein main teri aankhon pe salon se atka hua hun ajab ek uljhan hai aankhen banaun ya rahne hi dun tere khake mein main tere chehre ke azlat ko khinch kar wo tera ek tabassum banane ki koshish ko pura agar kar bhi lun par jo tujh mein zamanon ki tahzib ki ek kahani buni hai tere la-shuuri rawayyon mein arbon baras ke hasin irtiqa ka wo jo ek fasana d n a ki bases mein tartib pa kar tujhe to banata hai wo ek fasana wo khakon mein aakhir ko kaise sunaun ai wajh-e-sukhan jaan-o-rang-e-ghazal kaenati mohabbat ka radd-e-amal ai udasi ke hone mein wahid khalal tujh se nadim hun main mere wahm-o-guman mein qalam mein mere aur qirtas mein tera hona musalsal nahin ho raha meri bawanwin koshish mein bhi ab talak tera khaka mukammal nahin ho raha