kya mausam-e-gul hai ki yahan phul nahin kante dar-o-diwar ki zinat dar-o-diwar pe raqsan har gul ki mahak tere mere khun ki mahak hai insan ke ranjida dil-o-jaan ki kasak hai har shakh ki mehrab pe hain khun ke chhinte pyase khas-o-khashak tadapte hain shab-o-roz shabnam ki ziya-bar damakti hui pael ojhal hai nigah se koyal ki koi kuk na raushan koi naghma har kucha-e-ehsas mein goli ki azan hai bam aslaha aur barud ke chole pahan kar hum sar-phire tahzib-o-tamaddun ke liye hain gasht mein aise jaise ki ye bam aur barud hon sab hi masail ka hal jaise hon yahi azmat-e-insan ke muhafiz jaise ki mere amn-o-aman ho in ke karam par jaise ki mere bagh-e-bahaaran ki hifazat ho in ki inayat jaise ki hasin phulon ki ismat ke liye ab mausam-e-gul mein bhi goli bam aur banduq ho neamat