KHala mein bandar

ek bono nam ka bandar gaya sou-e-khala
aadmi ka kaam hai bandar ka phansta hai gala
ye tawaqqo bandaron se kar bhala hoga bhala
hai yahi bandar ke sar goya tawile ki bala
'darwin' ne sach kaha tha us ka ye ehsan hai
aadmi ka pesh-rau ye be-zaban haiwan hai
gardish-e-dauran mein aaya hai ye kaisa inqalab
dekhte hain ab khala mein baith kar bandar bhi khwab
khwab kya hoga yahi hoga ki hum hain la-jawab
is bina pe aadmi ka bhi lagaenge hisab
kya khala mein us pe guzri hogi ai saqi na puchh
kaw-kaw-e-sakht-jaani hae tanhai na puchch
ye to scientist hi jaanen unhi ko hai khabar
is khala ke khwab mein bandar ko kya aaya nazar
us ko kya malum us ka hai khala mein kyun safar
ye samajhta hoga main baitha hun unchi dal par
sochta hoga ki har khurd-o-kalan chakkar mein hai
ye zamin chakkar mein hai ye aasman chakkar mein hai
khwah chhoti zat ka bandar hai ya dhabbus hai
jis ne bheja hai khala mein us ko wo to rus hai
wo zamin walon ka ek bheja hua jasus hai
dugdugi ki shakl ki ashya se wo manus hai
chunki aadhi dugdugi ki shakl mein hai capsule
nachte hain dugdugi ke bal pe bandar ya usul
dur se shayad zamin ko dugdugi samjha hai wo
nachte rahne ko shayad zindagi samjha hai wo
tairte rahna khala mein dil-lagi samjha hai wo
aadmi khud ko ze-fart-e-sadgi samjha hai wo
baat bono ki khala mein dekhiye kaise bane
kya sitare shab mein aate hain nazar us ko chane
This is a great jesus shayari. True lovers of shayari ghalib will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this science shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close