teri rah dekhte dekhte aankhon ne dekhna hi chhod diya hai afsurdagi haddiyon ke gude mein tisen mar rahi hai gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai na aane wale tu kab tak na aaega kaenaton ke khaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu kaun se aasman bha gae hain tujhe kaun se khala kha gae hain tujhe khala hi pasand hain to mere dil mein aa ki tu ne is se bada black-hole to abhi tak paida nahin kiya aa ai khuda aa aa mere dil ke khala mein aa tu agar har jagah hai to mera dil kyun khali hai dil ke athah patal mein dhundhta hun aur tujhe pata nahin sochta hun kahin khala hi khuda na ho shayad intizar hi us ki maujudgi ho shayad adam hi us ka wajud ho aur nafi us ka isbaat phir ye soch palta khati aur dil ke khala mein utar jati hai aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai aur aahista aahista ek lafz mein dhal jati hai khuda aur aakhir mein ek sur rah jata hai aa dur kahin kisi ne darbari ka alap chheda hai aa meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain dil khun ho kar aankhon se tapak padta hai aur dil ke khala mein gunjti hui aawaz pukar uthti hai main ne to pahle hi kaha tha yahi khuda hai