khamosh hua bhedon ka galla chalte chalte mimya kar ja pahuncha shayad bade mein busi raste mein phaila kar chup-chap khada hai dur udhar wo jangal kali chilon ka sarsabz pahadon ko pur-haul banane wali chilon ka aawaz nahin aati ab jhil ki jaanib se murghabi ki sunsan faza be-jaan hawa mein larzan ruh khamoshi ki yun lai dosh pe lash si kya rangin din ki barbaadi ki ye sham ye gahri sham ye har lahza badhti hui tariki! qudarat ke sukut-e-mujassam ki is haibat-za aaraish se wadi ke zarre zarre ki ham-ahangi ki numaish se har naqsh-e-shajar har fil-numa patthar duniya hai tilismon ki had hi nahin aati koi nazar us turfa-fusun ki qismon ki har shai par khwab sa tari hai aur main hun sarf-e-be-khwabi lene hi nahin deti dam mujh ko meri fitrat-e-simabi ai kash kabhi kam kar sakti mere bhi dil ki betabi ye sham ye gahri sham ye har lahza badhti hui tariki main masnuat ka parwarda balki insan bhi masnui mera saman bhi masnui mera iman bhi masnui basne wala maidanon ke hangama-parwar shahron ka be-rabt sukun se na-waqif aur shorida-sar shahron ka main qudarat ke asrar-o-rumuz-e-pinhan se aagah kahan is andhyar ke athah samundar ki mere dil mein chah kahan aur mujh ko dikhati hai nur-e-haqiqat ke jalwaon ki rah kahan ye sham ye gahri sham ye har lahza badhti hui tariki ye manzar khush-aind to hain main in se magar kyun darta hun kyun in ki dil-awezi ko wahshat-nak tasawwur karta hun kyun mujh ko mayassar sang o shajar ka sa bhi sukun-e-qalb nahin kyun meri duniya is duniya se ja ke basi hai dur kahin kyun main ne dala hai apne hi ji ko aap halakat mein kyun ho hi nahin jata main khud paiwasta jahan-e-qudarat mein kyun le hi nahin leti mujh ko apni aaghosh ki wusat mein ye sham ye gahri tariki ye har lahza badhti hui tariki