waqt ka bojh pathrili chup unche unche pahad main pahadon ke daman mein phaili hui ghas par patti patti ki tahrir padhta hun asrar mein gharq hun der se jhil ki aankh jhapki na sahme hue par kahin phadphadae na kaliyan hi chatkin na patte hile har ghana ped nirwan ki aas mein gum hai sukhi hui tahniyan sab saliben hain har ghaar jaise kisi jibrail-e-amin ke liye hai kailash chup-chap hai gunj hi gunj be-lafz-o-mani faqat ek gunj sari sachchaiyan jhut ki kokh se phut kar lahlahati hain, khushbu lutati hain, phir jhut hi ki taraf laut jati hain tum se mujhe bhala kya gila gunj hi gunj be-lafz o mani faqat ek gunj bansuri ki madhur tan gunji to aise laga jaise mujh mein kisi ne parinde ki manind par jhad kar jhurjhuri li jhadiyon mein pur-asrar si sarsarahat koi paigham, qadmon ki aahat nahin kuchh nahin ek charwaha bhedon ka galla liye aa gaya sabza-zaron pe masum bheden badhin dekhte dekhte patti patti ki tahrir asrar sab char gain