phir yun hoga zard labon par jam jaenge lafz ye sansen tham jaengi pathrai aankhon mein koi khwab na hoga aur mere be-jaan badan ko dharti apni god mein chupke se rakh legi main na rahunga sirf khamoshi rah jaegi lekin mere git hawaen yaad rakhengi mere qadmon ki aahat honton ki jumbish lams in hathon ka zarre mahsus karenge dhalti shab mein phulon par jab shabnam ki bunden tapkengi shakh-e-gul jhuk kar kaliyon ka bosa legi patton mein sargoshi hogi nazuk thandi ghas ko chhu kar mast hawa jab bahti hogi khamoshi aawaz karegi