ek rahguzar par der se khada hua sochta hun main ki ab kaun aaega idhar kis ka intizar hai din to kab ka chhup gaya sham kab ki dhal chuki aas aur umid ki har ghadi nikal chuki unghne lage darakht raste bhi so gae intizar ke charagh bujh ke sard ho gae dil kahe ki laut chal ab ye waqt bar hai kaun aaega idhar kis ka intizar hai ab koi na aaega