hum ki guftar ke tajir hain jamal-e-khamosh hurmat-e-lafz se aagah nahin baat karne ko hunar jaante hain bolte bolte thakte hi nahin jab takallum ke tasalsul se tahi hote hain to lagta hai ki hai is ghadi tasht-e-zabani khali ho gaya khwan-e-maani khali aise aalam mein hamein teri khamoshi-e-khush-rang kashish karti hai tera sannata hamein teri taraf lata hai