tum aakhir is qadar kyun ro rahi ho bad-shuguni mat karo ye to duaen mangne ka waqt hai shayad wo han kah den chalo uttho ye apne sare aansu zat ki takrim ki baaten ye apna aagahi ka falsafa sab zabt ke sar-posh se dhanko nazar nichi rahe be-chaargi ki shaal mathe tak ghasito or apne kanpte hathon se apni zat ka ye khwan un ke samne chun do khuda rakkhe bade tajir hain gahri hai nazar un ki tumhaari sanwli rangat aur us par hosh ki baaten mujhe to haul aata hai kahin wo na na kah den