darwaze ke shishon se lagi hain aanhken har goshe mein mazi ki kamin-gahen hain yaaden hain ki bikhre hon khilaune jaise kuchh aahaten kuchh qahqahe kuchh aahen hain jo log yahan rahte the un ke sae chup-chap phira karte hain un kamron mein khoi hui aawaz gae waqton ki gunj uthti hai manind-e-azan kanon mein main aaya hun apne yahan mehman ban kar kuchh roz guzarunga chala jaunga mit jaega gham duri ka dhire dhire kya jaaniye phir laut ke kab aaunga har sang hai ek sang-e-malamat goya har katba-e-diwar hai dushnam mujhe paiman-e-wafa bandha tha main ne un se ab takte hain hairat se dar-o-baam mujhe