meri ragon mein chahakte hue lahu ko suno hazaron lakhon sitaron ne saz chheda hai har ek bund mein aafaq gungunate hain ye sharq o gharb shumal o junub past o buland lahu mein gharq hain aur shash-jahat ka aahang zamin ki peng tulu-e-nujum-o-shams-o-qamar ghurub-e-sham zawal-e-shab o numud-e-sahar tamam aalam-e-ranai bazm-e-barnai kanwal ki tarah khile hain lahu ki jhilon mein hai kaenat mere dil ki dhadkanon mein asir main ek zarra bisat-e-nizam-e-shamsi par main ek nuqta sar-e-kaenat-e-wahm-o-shuur ek qatra anal-bahr hai sada meri main kaenat mein tanha hun aaftab ki tarah mere lahu mein rawan wed bhi hain quran bhi shajar hajar bhi hain sahra bhi hain gulistan bhi ki main hun waris-e-tarikh-e-asr-e-insani qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht