basti se thodi dur chattanon ke darmiyan thahra hua hai khana-ba-doshon ka karwan un ki kahin zamin na un ka kahin makan phirte hain yunhi sham o sahar zer-e-asman dhup aur abr-o-bar ke mare hue gharib ye log wo hain jin ko ghulami nahin nasib is karwan mein tifl bhi hain naujawan bhi hain budhe bhi hain mariz bhi hain na-tawan bhi hain maile phate libas mein kuchh dewiyan bhi hain sab zindagi se tang bhi hain sargiran bhi hain be-zar zindagi se hain pir o jawan sabhi altaf-e-shahryar ke hain nauha-khwan sabhi mathe pe sakht-koshi-e-paiham ki dastan aankhon mein huzn o yas ki ghanghor badliyan chehron pe tazyana-e-iflas ke nishan har har ada se bhuk ki betabiyan ayan paisa agar mile to hamiyat bhi bech den roti ka aasra ho to izzat bhi bech den utthe hain jis ki god se aazar wo qaum hai tode hain jis ne charkh se akhtar wo qaum hai palte hain jis ne dahr ke daftar wo qaum hai paida kiye hain jis ne payambar wo qaum hai ab kyun sharik-e-halqa-e-nau-e-bashar nahin insan hi to hain ye koi jaanwar nahin aakhir zamana un ko sataega kab talak kab se jala raha hai jalaega kab talak kab se mita raha hai mitaega kab talak un ke lahu ko josh na aaega kab talak mayusiyon ki tah mein junun-kheziyan bhi hain aflas ki sarisht mein khun-reziyan bhi hain