ai khwab-e-khanda tujhe to main dhundne chala tha mujhe khabar hi nahin thi tu meri ungliyon mein khila hua hai mere sadaf mein tere hi moti hain meri jebon mein tere sikke khanak rahe hain nawa-e-gumrah-e-dasht-e-shab ke nujum teri hatheliyon par chahak rahe hain mere khala mein tamam samten tere khala se utar rahi hain mujhe khabar hi na thi ki meri nazar ki ainak mein tere shishe jude hue hain tujhe to main dhundne chala tha tujhe to main dhundne chala tha kisi salib-e-kuhan pe dar-o-rasan ke tarik raston ki thakan mein farhad kohkan ki sada-e-sad-chaak mein kisi chuk main ubalte hue lahu mein khile gul tifl-e-be-gunah ke bikharte rangon ki ungli thame tujhe to main dhundne chala tha shab-e-tarab hai shab-e-tarab mein na saz utre na nur bikhra na baadalon ne phuwar bheji na jhil ne mahtab ugla shab-e-tarab hai ai khwab-e-khanda shab-e-tarab mein mari talab ka rabab ban ja bujhi ragon mein sharab ban ja ai khwab-e-khanda meri angethi ka khwab ban ja ki shab ka aahan pighalne tak meri chimniyon ke dhuen mein jugnu malhaar gaen