makan jal chuka hai khandar hai siyahi hai bujhti hui rakh ki siskiyan hain meri aankh pur-nam hai chup-chap gum-sum khada hun yahan par mere aansuon mein tasawir hain mazi-o-haal ki waqt ki manzilon ki mere zehn mein dastan hai zamane ke banne bigadne ki tamir-o-takhrib ki dhadkanon ki mere kan mein gunjti hain wo narm aur shirin sadaen jinhen aag ne is makan ke khandar mein fana kar diya hai mohabbat ki taqdis masum shamon ke ashkon ki garmi dhoen ki tadapti hui dhaariyan un ka paigham ban kar fazaon mein shayad bhatakne lagi hain meri aankh pur-nam hai phir bhi main khush hun mere pas khwabon ki masum thandak iradon ke raushan sitaron ki narmi takhayyul ki bahti hui naghmagi hai main yaadon ke malbe pe takhliq ka phul le kar khada hun