jhuthe shaer ye ghaur se sun len shairi sab ke bas ki baat nahin ye wo ilham hai ke jis ke liye rab hi chunta hai apne bandon mein aise bandon ko jin ke sine mein dard hota hai sare aalam ka jo mohabbat ki baat karte hain jo ukhuwwat ki baat karte hain jo sadaqat ki baat karte hain zulm ke samne khade ho kar jo baghawat ki baat karte hain muflison aur gham ke maron ki jo himayat ki baat karte hain na-ummidi ke ghup andheron mein jo diye aas ke jalate hain bughz rakhte nahin jo sine mein dushmanon ko gale lagate hain sare aalam mein amn ki khatir raat-din khun-e-dil jalate hain jin ko shohrat ki aas hoti nahin jin ko daulat ki aas hoti nahin shan-o-shaukat ki aas hoti nahin jo qalandar ki tarah jite hain jo faqiron ki tarah rah kar bhi baadshahon ki tarah jite hain jhuthe shaer ye ghaur se sun len shair-e-be-nawa ke sine par sher utarte hain aayaton ki tarah