kaisi khamoshi hai virani hai sannata hai koi aahat hai na aawaz na koi dhadkan dil hai ya qabr sulagti hui tanhai ki zehan hai ya kisi bewa ka akela aangan ud gaya rang har ek soch ke aaine ka shab ke be-nur dupatte se sitare tute jam gai gard khayalon ki hasin rahon par muddaten ho gain ummid ka daman chhute yak-ba-yak dur bahut dur bahut dur kahin teri pazeb chhanakne ki sada aane lagi shauq ne panw badhae usi aawaz ki samt tujh se milne ki lagan aur bhi tadpane lagi ye khandar aaj jahan raat ki tariki mein tu ne bhule hue afsane ko dohraya hai isi ujde hue viran khandar mein ki jahan kitne din baad tera saya nazar aaya hai isi ujde hue viran khandar mein hum ne umr bhar sath nibhane ki qasam khai thi isi ujde hue viran khandar mein tere thartharaate hue honton pe dua aai thi rasm koi ho magar hum ko juda kar na sake ye riwayat na pahnaen kabhi zanjiren hum ki is raaz se is baat se na-waqif the ki duaon se badalti hi nahin taqdiren lekin ab rasm koi kuchh na kahegi mujh se ab riwayat ko majbur kiya hai main ne ab na rokega meri rah zamana badh kar jo bhi anjam ho ye soch liya hai main ne main muqaddar se gale mil ke nahin ro sakta tujh ko pana mera maqsad hai tujhe paunga aaj thukra ke har ek maslahat-andeshi ko tere sae ke taaqub mein chala jaunga
This is a great bewafa shayari hindi. Please share if you liked this!!!