KHanjar talash karta hai

bashar rumuz-e-muqaddar talash karta hai
qaza-o-qadr ka mehwar talash karta hai

faqih-e-shahr sanam-khana-e-siyasat mein
siraat-e-din ka rahbar talash karta hai

khuda ko chhod ke jamhur ka hawas-pesha
sukun-e-qalb falak par talash karta hai

mazaq-e-adl se begana hai magar insan
fasad-khana mein yawar talash karta hai

pae najat watan mein ba-faiz-e-azadi
sharif aadmi khanjar talash karta hai

faza-e-dahr mein takhrib ka alam-bardar
hayat-saz payambar talash karta hai

tarashta hai barahim-e-asr sad-asnam
charagh-e-tur par aazar talash karta hai

barahna zulmat-e-tahzib mein tan-e-maryam
masih-e-waqt ki chadar talash karta hai

sanam-kade mein tafalsuf ke tira-dil waiz
uwais-o-khalid-o-bu-zar talash karta hai

ilaj khatir-e-millat ka pasban-e-haram
lain-e-waqt ke dar par talash karta hai

khulus-e-din ko baad-az-kharabi-e-bisyar
zamana aaj mukarrar talash karta hai

tan-e-shuyukh ba-zahir galim-posh sahi
zamir shahid-o-saghar talash karta hai

dua asiri ki karta hai sahab-e-quran
mafar ghulami se kafar talash karta hai

mazaq-e-faqr hai rahmat asar zamane mein
azab-e-kunz tawangar talash karta hai

jahan-e-shor mein paiham yazid ka lashkar
husain-e-asr ko ghar ghar talash karta hai

sanwar to sakti hai millat ki naseha taqdir
lahu zamane ka tewar talash karta hai

miyan-e-bahr sadaf mein guhar to hai lekin
khatar-pasand shanawar talash karta hai

zamana batn-e-jahannam mein ek muddat se
nishat-o-kaif barabar talash karta hai

gunahgar hai 'bebak' be-nawa lekin
nabi ka gumbad-e-akhzar talash karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close