kharabi ka aaghaz kab aur kahan se hua ye batana hai mushkil kahan zakhm khae kahan se hue war ye bhi dikhana hai mushkil kahan zabt ki dhup mein hum bikharte gae aur kahan tak koi sabr hum ne sameta sunana hai mushkil kharabi bahut sakht-jaan hai hamein lag raha tha ye hum se ulajh kar kahin mar chuki hai magar ab jo dekha to ye shahr mein shahr ke har mohalle mein har har gali mein dhuen ki tarah bhar chuki hai kharabi ruen mein khwabon mein, khwahish mein rishton mein ghir chuki hai kharabi to lagta hai khun mein asar kar chuki hai kharabi ka aaghaz jab bhi jahan se hua ho kharabi ke anjam se ghaaliban jaan chhudana hai mushkil