har aaina ek aks-e-nau dhundta hai samundar ki lahren hon ya dasht ki an-ginat pattiyan sab yahi sochti hain ki koi nai ruh in mein sama jae udte hue abr-pare musalsal tulu-e-sahar se numud-e-shafaq tak koi samt-e-nau dhundte hain ufuq ta ufuq chandni raat ke daman-e-be-karan mein nai saaton ke nishan dhundhti hai talash-e-musalsal ki bahti hui rau mein ek kah bhi hai jo sadiyon se is aas mein bah raha hai ki shayad koi quwwat-e-kahrubai kisi samt se na-gahan aa ke aaghosh mein jazb kar le magar aarzu ki rasai se bahar abhi an-ginat marhale rah mein hain abhi justuju awwalin manzilon ki haden par karti chali ja rahi hai abhi soch ki ibtida-e-safar hai!