harif kaun tha ghaliz bad-numa sa jaanwar wo be-khabar jo rengta hua chala jo rengta chala gaya na jaane kis jahan se tumhaari rah mein aa gaya usul ban ke zindagi ke aasman pe chha gaya tumhein ye gham sata raha hai aaj bhi ghalat ghadi mein nind tum ko aa gai sitam ajib dha gai mazaq hi mazaq mein zamane-bhar ke samne tumhaara sar jhuka gai yaqin se farar tak hazar marhale tumhaare zehn se guzar gae dil-o-nazar ko waswason se bhar gae shikast ki khalish badi shadid thi kisi tarah na mit saki huruf-e-pur-khatar se faislon ko tolti rahi ana ke muztarib lahu mein zahr gholti rahi