aasman par udas baitha chand raat-bhar tare ginta rahta hai chahta hai ke jhuk ke dharti ki chum le ye chamakti peshani aur hasrat nikal le dil ki kaun samjhae par diwane ko khwahishen hasraten jo hain dil ki khwahishen hasraten hi rahti hain khwahishon par chala hai bas kis ka hasraten kis ko ras aai hain