KHat ka jawab

jab tere shahr-o-kucha-o-dar se
zindagi sargiran rahi tu ne

koi ahd-e-wafa ki baat na ki
tere kirdar ke charaghon mein

husn jalta raha taqaddus ka
wo taqaddus ki jis ka sarmaya

nur-e-shaistagi-o-sharm-o-haya
rifat-e-dilbari-o-rang-e-hina

shokhi-o-be-khudi-o-naz-o-ada
tu ne apni hawas ki nazr kiya

phir bhi tu mutmain rahi ki teri
fikr-o-fitrat ka bol-baala tha

is jahan-e-kharab mein ki jahan
teri firauniyat ke charche the

meri duniya pe ek waqt pada
subhen apna nikhaar bhul gain

shamen afsurdagi ke nam huin
raaten munh dhanp dhanp kar roin

phir bhi tujh ko koi khabar na hui
waqt guzra guzarne wala tha

waqt ne kab kisi ka sath diya
ai meri aaj ki qalo-patra

aur ab jab ki zindagi ke liye
koi fikr-e-nashat-o-gham bhi nahin

apni chahat ka wasta de kar
ab mujhe kyon bula rahi hai tu

jab tere shahr-o-kucha-o-dar se
zindagi sargiran rahi tu ne

koi ahd-e-wafa ki baat na ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close