nai purani aag

kis ne dekha hai ashkon ko bahte hue
sone chandi ke mahlon mein tum ja base

chahaton ki khushi ka chalan chhod kar
dil ki dildariyon ki chubhan chhod kar

ab ye tum hi kaho kaun kis ka nahin
kis ke dar tak nahin kyon kisi ki jabin

kis ne toda mohabbat ke paiman ko
rog sa lag gaya ruh ko jaan ko

rang ki rup ki pyar ki rahaten
aaj mere liye ban gain hasraten

jaise un se koi wasta hi na tha
kis ke daman se udti hai bu-e-wafa

kis liye pyar ka nam badnam hai
kis liye is jahan-bhar mein kohram hai

kin riwajon ne duniya mein bis bo diye
ishq ki dewiyan dewta ro diye

tum hi apne nahin kis se shikwe karen
ghair ki aag hai ab jien ya maren

odhe phirte hain hum hasraton ka kafan
ho mubarak tumhein reshmi pairahan

han magar ishq wo hai ki jis ke liye
us ke gham mein na gae koi marsiye

jis se hairan ho zar bhi zardar bhi
takht bhi taj bhi aur talwar bhi

dekho ai husn-o-ulfat ke maro idhar
jaan-nawazo idhar jaan-nisaro idhar

koi meri tarah pyar haare nahin
husn ghairon ki duniya sanware nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close