kya hua shauq-e-fuzul kya hui jurat-e-rindana meri mujh pe kyun hansti hai tamir-e-sanam-khana meri phir koi baad-e-junun tez kare aagahi hai ki charaghon ko jalati hi chali jati hai dur tak khauf ka sahra nazar aata hai mujhe aur ab sochta hun fikr ki is manzil mein ishq kyun aql ki diwar se sar takra kar apne mathe se lahu ponchh ke hans padta hai