jamila shakila ki thi ek saheli saheli bhi ek umr ki sath kheli bahut hi tha ikhlas aur pyar un mein hui thi na jhuton bhi takrar un mein thi yun to har ek khel se un ko raghbat magar sab se badh kar thi gudiyon ki chahat jamila ki gudiya thi chini ki murat shakila ka gudda bhi tha khubsurat shakila ne socha ki shadi rachaen jamila saheli ko samdhan banaen shakila bade chaw se chal ke aai wo gudde ki mangni ka paigham lai kai ladkiyan aur bhi sath aain jamila ke ghar aa ke baaten banain idhar ki udhar ki huin khub baaten ye mangni ki baaten rahin chand raaten ye baat aur wo baat aur kabhi han kabhi nan kai din rahin b shakila pareshan par aakhir wo aa hi gai nek saat na baqi rahi koi jhagde ki surat jamila ne manzur kar li ye shadi khabar sare bachchon ko is ki suna di ijazat unhon ne badon se bhi le li phir achchhi si tarikh shadi ki tai ki qarib aae shadi ki taqrib ke din to kate ye din sare bachchon ne gin gin wo shadi ki tarikh jis roz aai masarrat ne duniya mein naubat bajai shakila ne gudde ko dulha banaya use ek badhiya sa joda pahnaya wo kurta wo achkan wo pagdi wo patka wo resham ki shalwar wasli ka juta wo munna sa rumal moze tasar ke jhamakti kala us ke salme sitare jadaw anguthi wo moti ki mala wo rangin jama wo phulon ka sahra bitha us ko ghode pe wo sath lai baraat us ne gudde ki apni sajai chale sath ban ban ke bachche baraati chali parti ek gati bajati tadatad wo tashon ki bajon ki ten-ten majire ki tan tan nafiri ki pen-pen wo logon ka chalna patakhon ka chhutna hawa mein anaron ke phulon ka lutna isi thath se chal ke baraat aai dulhan ki taraf se hui peshwai jamila ne sab ka kya khair muqaddam mile ho ke baham wo sab shad-o-khurram jahan farsh ek chandni ka bichha tha thi masnad nai gaw takiya naya tha wahan mehmanon ko locker bithaya diye pan aur sab ko sharbat pilaya bulae gae shahr se ek qazi dulhan aur dulha hue donon raazi zara der mein ho gai un ki shadi sabhi ahl-e-mahfil ne dil se dua di chuware lute phir bati kuchh mithai mithai ye sab ne maze le ke khai hue shad mehman chhote bade kul mubarak salamat ka pas mach gaya ghul hua waqt gudiya ki rukhsat ka jis dam jamila ke chehre pe tha gham ka aalam shakila ne jhat palki ek mangai bitha us mein gudiya ko ghar apne lai hui khub shohrat hua khub kharcha raha shahr mein muddaton is ka charcha gharaz byah gudde ka gudiya ka jaisa hua ye hua hoga 'nayyar' na aisa