bachpan mein man-bap ka saya jawani tanha tanha aaj khayal ke galiyare se kis wadi mein pahuncha hun jahan mujhe aisa lagta hai tanhai sannata ban kar mera pichha karti hai shayad koi yaad ka saya ek monis ek sathi hai kabhi kabhi aisa lagta hai ye gulnar jiwan mera aise mod pe chhodega jahan na koi sathi hoga aur na koi monis bas meri tanhai hogi bite dinon ki yaaden hongi aise khayalat satate hain jab jab main tanha hota hun