khayal-o-khwab-o-aqaed ki sehar-kari tak ghute ghute se shab-o-roz the bujhi si faza na jaanne se chali baat jaanne ki taraf sukut-e-maut hai lekin sukut khatm hua junun-sarisht se jazbe amal ki rahon mein libas odhe hue azm ka nikalte hain khirad ke des mein tanzim zindagi le kar bahut hi kam hain jo aise sanwar ke chalte hain hayat ek safar hai bahut azim safar gurez-o-jazb mein duba hua hai har lamha bahut aziz hai jo fikr kaam aa jae ki us se badh ke kahan waqt ka koi hadiya hayat sud-o-ziyan se nawisht rahti hai hayat sud-o-ziyan ke jahan ka mehwar hai kabhi hai dil ka zarar yan kabhi hai jaan ko sakun kabhi dawa hai kabhi zakhm-e-dil pe nashtar hai hayat rah-e-aziyyat hai apni manzil mein magar ye rah-e-aziyyat tamam hone tak na jaane kitni umangon ka khun ho jae koi to pyas bujhe jashn-e-jam hone tak