KHayal-e-KHatir

main charagh-e-sar-e-manzil hun mujhe jalne de
meri khatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez

teri duniya mein shagufe hain bahaaron ka shabab
mujh ko kanton se guzarna hai rah-e-hasti mein

teri duniya hai surur-e-mai-o-mina ka husul
mujh ko har gam pe apna hi lahu pina hai

teri thokar se chamak uthte hain kitne khurshid
meri rahon mein mere dagh-e-jigar raushan hain

main ne zulmat ko mitane ki qasam khai hai
mujh ko aawaz na de mujh ko pareshan na kar

meri khatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez
main tujhe bhul gaya aisi koi baat nahin

han magar kashmakash-e-sud-o-ziyan baqi hai
ab bhi kante hain mohabbat ki guzar-gahon mein

ab bhi har rah pe rahzan hain ba-shakl-e-rahbar
ab bhi ehsas mita deti hai sikke ki khanak

ab bhi bazar-e-wafa sard hai mazi ki tarah
ab bhi majbur hai shair kisi muflis ki tarah

mujh ko paigham-e-mohabbat na suna jalne de
apne afsane ka unwan na bana jalne de

main ne zulmat ko mitane ki qasam khai hai
mujh ko aawaz na de mujh ko pareshan na kar

meri khatir tu na kar aish-e-bahaaran se gurez


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close