KHayal ke jangal mein basa ek laDka

tum khamosh hawa ho
pahadon nadiyon dariyaon se guzarte hue

na koi nishan banate ho
na koi alamat

lekin tumhaari hansti aankhen
manzaron ka ras kashid kar leti hain

aur tumhaari dadhi
jis ke ek ek baal ki chubhan

kisi anjaan dharti ke
umr-rasid sabze jaisi hai

jis ne jaane kitne dariyaon ka pani piya hai
aur main tumhaare sang

nakhunon ke bal chalti hun
aur hansti jati hun

mujhe khabar hi nahin ki nakhun
kab se ungliyon ke andar

dhans chuke hain
lahuluhan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close