rakh

soch rahi hun
armanon ke pinjre se

panchhi ko aazad karun main
dil ke bahlane ko main ne

ghar ke gul-danon mein kab se
murda khwab saja rakhe hain

kamre ko kuchh saf karun main
sandal ki lakdi ke niche

dhire dhire chillati
ek aas rakhi hai

ek kone mein
jiti marti khwahish ki

ek sans padi hai
jaane kitne barson ki

aatish-dan mein rakh padi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close