KHayal ki banjar zamin

lafz
kab se mere zehn ke

surakh se jhank raha hai
jahan zulmat qarnon se

raj karti hai
aur khayal ke jale latke pade hain

auham ki chamgadaden diwaron se chipki hui hain
soch ke pani par kai jami hai

mere zehn ke darichon mein
koi aisi darz bhi nahin

jahan se hawa dakhil ho kar
mayusi ki habs ko chat le

aur koi rauzan bhi nahin
jahan se raushni ilham ban kar utre

lekin lafz ke jugnu ne
apni raushni se is mein

surakh kar dala hai
wo dekho

lafz dekh raha hai
lekin nahin

wo to ja chuka hai
aur

sadiyon se muqaffal khamoshi
karwat le kar phir so chuki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close