lauT aa

dhire dhire yakh-basta kashmiri sard hawaen
safed barfili chattanon se takra ke

apne wajud ko ghati mein mudgham karti
shor machati

choti pe munaqqash mere bangle se lipat jatin
shaffaf barf-posh ho gai thi raste ki har lakir

aise mein wo dekhne aaya tha barfila kashmir
tawil masafat tai karne ke ba'd

us ne sun rakha tha bahut kuchh
kashmir ki dilkash bahaaron ke bare

kashmir ke dil-fareb nazaron ke bare
kashmir ke zafran-zaron ke bare

kashmir ke jharnon aabshaaron ke bare
kashmir ke laziz rasile phalon ke bare

magar afsos
ki wo lakh koshish ke bawajud bhi

lutf-andoz na ho saka
wo chah kar bhi bangle ke darwaze tak na aa saka

masdud raston ke sabab
us ke tamam khwab sarab hue

us ki talab tishna rah gai
chhod gaya mere nam bahut se paigham-e-shauq

sar-phiri hawaon ke hath
wo chala gaya apna saya barf pe sabt karke

meri putliyon mein sapnon ka mahlul ghol ke
march khatm ho raha hai

april dastak de raha hai
us zalim se koi kah de raston ki lakir saf hone lagi hai

barf pighalne lagi hai
laut aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close