aao ghera ek bana len apne apne hath mila len sina tan khade ho jaen upar ko gardan bhi uthaen edi se edi ko mila kar pair ke panjon ko phaila kar apne apne panw uthaen chalte jaen chakkar khaen pahle pura chakkar kha len chakkar kha kar dil bahla len phir hum sab ruk jaen dam bhar aage ko badh jaen qadam bhar aage pichhe jaen aaen hath hilaen panw hilaen phir bazu apne phaila den khinchen pichhe ko jhatka den hathon ko upar le jaen upar se phir niche laen baith ke utthen uth ke baithen sar uncha ho samne dekhen jhuk kar baithen aur dand pelain khud ho kar ye sakhti jhelen mil kar khelen sare ladke koi na jae yahan se lad ke 'nayyar' bhi jo kabhi aa jae dekh ke hum ko rahat pae