aziz man meri hansmukh meri bahadur man tamam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne mohabbat apne chaman se gulon se kharon se mohabbaton ke khazane luta diye tu ne bana bana ke mitae gae nuqush-e-amal tere baghair mukammal na ho saki taswir wo khwab jhansi ki rani ko jis ne chaunkaya tera gihad-e-musalsal usi ki hai tabir use hayat ka sola singar kahte hain teri jabin pe hain kuchh silwaten bhi tika bhi nazar mein jazb-e-yaqin dil mein soz-e-azadi dahakta phul bhi hai tu mahakta shoala bhi zara zamin ko mehwar pe ghum lene de samaj tujh se tera soz-o-saz mangegi jamal sikhega khud-e'timadiyan tujh se hayat-e-nau tere dil ka gudaz mangegi